Tuesday 11 May 2004

What more can I say?

Mein Aur Meri Tanhai, Aksar Ye Baaten Karte Hain
Tum Hotin To Kaisa Hota, Tum Ye Kehtin, Tum Vo Kehtin
Tum Is Baat Pe Hairan Hotin, Tum Us Baat Pe Kitni Hanstin
Tum Hotin To Aisa Hota, Tum Hotin To Vaisa Hota
Mein Aur Meri Tanhai, Aksar Ye Baaten Karte Hain

Ye Raat Hai, Ya Tumhari Zulfen Khuli Hui Hain
Hai Chandni Ya Tumhari Nazron Se, Meri Raaten Dhuli Hui Hain
Ye Chand Hai, Ya Tumhara Kangan, Sitaare Hain Ya Tumhara Aanchal
Hava Ka Jhonka Hai, Ya Tumhare Badan Ki Khushboo
Ye Pattiyon Ki Hai Sarsarahat, Ke Tumne Chupke Se Kuch Kaha Hai
Ye Sochta Hoon Maein Kabse Gumsum
Ki Jabki Mujhko Bhi Ye Khabar Hai, Ki Tum Nahin Ho, Kahin Nahin Ho
Magar Ye Dil Hai Ki Keh Raha Hai, Tum Yahin Ho, Yahin Kahin Ho
Majboor Ye Haalaat, Idhar Bhi Hain Udhar Bhi
Tanhai Ke Ye Raat, Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Kehne Ko Bahut Kuchh Hai, Magar Kis Se Kahen Hum
Kab Tak Yoonhi Khaamosh Rahen, Aur Sahen Hum
Dil Kehta Hai Duniya Ki Har Ik Rasm Utha Dein
Deewaar Jo Hum Dono Mein Hai, Aaj Gira Dein
Kyun Dil Mein Sulagte Rahein, Logon Ko Bata Dein
Haan Humko Mohabbat Hai...
Ab Dil Mein Yahi Baat, Idhar Bhi Hai, Udhar Bhi

No comments: